Daily Free Naaz Sms On your mobile

Daily Free Naaz Sms On your mobile
Daily Mobile Sms Free
Showing posts with label urdu shayri. Show all posts
Showing posts with label urdu shayri. Show all posts

Wednesday, 18 December 2013

Ye Qayaam Kesa Hai Raah Mei!

Chand Muntakhib Ashaar!!

Thaki, Tooti Huwi Neendon Ke Darmyaan Aksar,
Bohot Chupke Se Jaag Uth'ti Han Teri Yaadain!!


Ye Qayaam Kesa Hai Raah Mei,
Terey Zouq e Ishq Ko Kia Hua,
Abhi Chand Kaantey Chubey Nahin,
Terey Sub Iraade Badal Gaye!!


Oron Ka Tajurba Jo Kuch Ho, Magar Hum To Firaaq,
Talkhi e Zeest Ko Jeene Ka Maza Kehtey Han!!


Itni Lambi Umar Bhi Na Maang Mere Lye Dost!!
Aesa Na Ho Ke Tum Bhi Chorr Do Or Mout Bhi Na Aye!!


Friday, 6 December 2013

Tuesday, 26 November 2013

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!
Na Kisi Ki Yaad Aati Hai!!

Magar Ye Dusra Misraa,
Zara Saa Jhoot Lagta Hai!!


Friday, 27 September 2013

Mohabbat Ka Erada Badal Jana Bhee Mushkil Hai



Mohabbat Ka Erada Badal Jana Bhee Mushkil Hai
Tumhe Khona Bhee Mushkil Hai, Tumhe Pana Bhee Mushkil Hai

Udaasi Terey Chehrey Ki Gawara Bhee Naheen Lekin
Teri Khatir Sitaare Torr Ke Lana Bhee Mushkil Hai

Zara Si Baat Pe Aankhain Betth Jatey Ho
Tumhe Tau Apney Dil Ka Haal Batana Bhee Mushkil Hai


May you like:

Sunday, 25 August 2013

Baat Niklay Gi Tou Phir Dour Talak Jaaye Gi!

Baat Niklay Gi Tou Phir Dour Talak Jaaye Gi
Logg Bewaja Udaasi Ka Sabab Poochen Gay
Yeh Bhee Poochen Gay K Tum Itnay Pareshan Kiu Ho
Ungliyan Uttain Gi Sookhay Howe Baalon Ki Taraf
Ek Nazar Dekhain Gay Guzray Howe Saalon Ki Taraf
Choorion Pe Bhee Kayi Tanzz Kiye Jaayen Gay
Kaanptay Haathon Pay Bhee Fikray Kasay Jaayen Gay
Logg Zaalim Hen Har Ik Baat Pay Taana Dain Gay
Baaton Baaton May Mera Zikr Bhee Ley Aayen Gay
Unki Baaton Ka Zara Saa Bhee Assr Mat Layna
Warna Chehray Kay Taassur Say Samajh Jaayen Gay
Chaahy Kuch Bhee Ho Sawaalat Na Karna Unn Say
Merey Baaray Me Koi Baat Na Karna Unn Say
Kiun Kay...,
Baat Niklay Gi Tou....!

Sunday, 21 July 2013

Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Tujhey Kiya Khabar Merey Haal Ki..!
Merey Dar..! Merey Malaal Ki..!

Yey Merey Khayaal Ka Silsilaah..!
Kisi Yaad Sey Hai Milaa Howa..!

Usey Dekhnaa..! Usey Sochnaa..!
Meri Zindagi Ka Hai Faysala..!

Yey Ussi Ki Palkoon Key Saayey Hen..!
Meri Rooh Mey Jo Utarr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Mujhey Iss Maqaam Pey Choorna..!
Hai Yey Bewafaai Ki Intehaa..!

Yey Qafass Ho Jesey Khuli Fizaa..!
Yaheen Sukhh Ka Saans Mai Loon Sadaa..!

Jinhen Teri Deed Ki Piyaas Thi..!
Woh Katoray Nainoon Sey Bharr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!


Read Another Urdu Ghazal
Bicharnay Wale Ka Ab Tak


Wednesday, 24 April 2013

Chaman Mai Dhoundti Phirtee Hay Barg E Awaara!

barg e awaara - nasir kazmi


Hum Han Voh Barg E Khizaan Deeda Jinhay
Nasir!

Chaman Mai Dhoundti Phirtee Hay Barg E Awaara!

Couplet by Nasir Kazmi

Saturday, 16 March 2013

Khoob Nibhai Tou Ney

Afreen Daagh Tujhey, Khoob Nibhaai Tou Ney
Marhaba, Koocha e Dildaar Sey Mar Kar Nikla!

Daagh Dehelvi

Sunday, 30 December 2012

Abhi Kuch Lamhey Baki Hain!


Abhi Kuch Lamhey Baki Hain
Saal Ke Khatm Hone Mei...

Chalo Aesa Kren Hum Tum
Giley Shikwey Jo Rehte Hain...

Humesha Darmiyaan Apney
Kiyun Na Khatm Kr Dalen...

Naye Waade, Nayi Kasmen
Nayi Ummeed Hum Bandhen...

Naye Andaaz Se Jeewan
Ka Ik Ik Rukh Badal Dalen...

Dilon Mei Hain Kadorat Jo
Humm Us Ko Khatm Kr Dalen..

Abhi Kuch Waqt Baki Hai
Naya Phir SAAL Aane Mei


Advance Happy New Year 2013!

Sunday, 16 December 2012

Terey Etibar Ka Mousam


Rafaqaton Ke Naye Khwaab
Khush-Numa Han Lekin...

Guzar Chuka Hay Terey Etibar
Ka Mousam...!


More in urdu poetry

Saturday, 15 December 2012

Wednesday, 12 December 2012

Saturday, 23 June 2012

Saturday, 5 November 2011

Eid Ka Din...

Eid Ka Din or Wo Bhi Kitna
Mukhtaser Sa...

Giney Jatey Han Kitney Din
Is Din Ke Liye...

More Eid Poetry

Monday, 30 August 2010

Akhiri Ayyam Mei Saary Hisab Likhu Ga

Akhiri ayyam mei saary hisab likhu ga
Mae bhi eik din kitab-e-hyaat likhu ga

Kahiin khushii ka tazkaraa, kahiin dukhon ki dastaa'n
Kitab-e-ziist ke, saary hi baab likhu ga

Kis trha ham pe shabab aya tha
Kis trha dhal gya ye aftab, likhu ga

Tre hissy kii sarii taabeerain
Apny ujrry jo khwaab, likhu ga

Dil ke hr zkhm ko kureedu ga
Chahatoon ke azaab likhu ga

Tre faraq mei jo mehv-o-khyal guzrey haen
Wo ankhoo'n mei sajy saary sarab likhu ga

Jo baara'ha tshnagi barhatey rahey
Mousamon ke ataab likhu ga

Haqeeqato'n se mra waasta nahi Waris
Lagta hae saary wehm-o-khwab likhu ga....


Sunday, 29 August 2010

Tu Ney Nafrat Sey Jo Dkha To Mjhe Yad Ayaa..

Tu ney nafrat sey jo dkha to mjhe yad ayaa..
Kitney rishtey mae teri khaatir yon hi tor ayaa..
Kitney dhundlay han ye chehrey jnhe apnayaa..
Kitnii ujli thi wo aankhen jnhe choor ayaa...


Main Ney Aasaboon Ko Pather Kaa Bana Rkha Hy

Main ney aasaboon ko pather kaa bana rkha hy,
Ek dil hy jo bantaa nhin pather jysa,
Ahl. e. dil, dil kii nazaket sey haen waqif warna,
Kaam lafzon se bhi lay saktey haen khanJar jysa,
Hum ghareboon ko kbhi raas na ayaa wurna,
Humne paaya tha mukaddar to sikander jysa...


Tum Yad Aye..!!

Mere ghr k ujrry Aangan me koi phool khila 'Tum yad Aye.!
Tere shehr k basny walon me koi shakhs mila 'Tum yad Aye!

Wo kehta tha k bad mere Tm yad mjhy kr k rougy!
Sach poch,kisi ki ankhon se koi ashk gira 'Tum yad Aye!

Hr bar mai tjhko bholny ki khud se Qasmen khata hu!
Pr jab B kisi ne hans k mujhy apna kaha 'Tum yad Aye!

Din bhr to mai is dunya k Dhandon me hi khoya raha!
Din guzra or dewaron se jb dhoop dhali 'Tum yad Aye'.~

Missing You!


Raat Sunti Rahi Mein Sunata Raha!!!

Raat sunti rahi mein sunata Raha,
Dard ki dastaan main batata Raha,
Log,logon se chahat nibhaty rahay,
ek wo tha,mera dil jalata Raha,
Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi,
Wo nigahein milata churata Raha,
Ik mei hi piyasa mere dosto,
Log pitay rahay mein pilata Raha,
Dil k mehman khanay mein Ronuq rahi,
Koi aata raha koi jata raha,
Hum-maktab ne sara sabak purh lia,
Mein tera nam likhta mitata raha. . . !
Rat sunti rahi main sunata raha. . .!


More Sad Poetry

Thursday, 26 August 2010

Aay Chaand

Eid Special

Aay Chaand
Jab Woh Teri Taraf Dekhein
To Unhein Kch Yaad Delaana
Madhur Se Kch Geet Sunanaa
Pher Chupke Se Un Ke Pass Jaana
Or Kahna!!!
Tumhein Koii Yaad Krta Hai.
Teri Arzoo, Teri Umeed Krta Hai
Koi Aajj Bhe
Tumhein Dekh Ker
EID kerta Hai.


Click here for Eid Ghazals