Daily Free Naaz Sms On your mobile

Daily Free Naaz Sms On your mobile
Daily Mobile Sms Free
Showing posts with label sad poetry. Show all posts
Showing posts with label sad poetry. Show all posts

Saturday, 19 April 2014

Kuch Zikar Karo Us Mosam Ka Jab Rim Jhim Raat Raseeli Thi!

kuch zikar karo us mosam ka jab ram jham rat raseeli thi
jab subha ka roop rupehla tha jab sham boht sharmeeli thi
jab phool mehekti rahon per qadmon se gajar baj uthte they
jab tan me sans ke sargam ki her deepak taan sureeli thi
jab khawab sarab jazeeron me khush fehem nazar ghul jati thi
jab piyar pawan ke jhonkon se har yad ki moj nasheeli thi
amrat ki mehek thi baton me nafrat ke sharar thay palkon per
wo hont nehayet meethay they wo aankh boht zehreeli thi
mohsin us sheher me marne ko ab is ke siwa kuch yad nahin
kuch zeher tha sheher ke pani me kuch khak ki rangat neeli thi



Saturday, 18 January 2014

Nazar Se Door Ho Kar Bhi Tera Youn Robaroo Rahna

Thaki Tooti Hui Neendon Ke Darmiyaan Aksar,
Bohot Chupke Se Jaag Uth'ti Hain Teri Yaadain!

---------------------------------------------------------

Mila To Aur Bhi Taqseem Kar Gaya Mujh Ko,
Sametna Theen Jisey Meri Kirchiyaan Mohsin!

---------------------------------------------------------

Nazar Se Door Ho Kar Bhi Tera Youn Robaroo Rahna
Kisi Ke Pass Rahnay Ka Saliqa Ho To Aisa Ho!!

---------------------------------------------------------

Kitna Kuch Jaanta Ho Ga Wo Shakhs Merey Baare Mai
Jis Ne Mujhay Haste Howe Dekha Phir Bhi Pucha Udas Kiu Ho!

---------------------------------------------------------

Friday, 17 January 2014

Zarey Sarkash Huey, Kehne Me Hawaen Bhi Nahin!!

zarey sarkash huey, kehne me hawaen bhi nahin
aasmanon pe kahin tang na ho jae zameen

aa ke dewaar pe bethi thin ke phir ur na sakin
titlian banjh manazir me nazar band huin

pair ki sanson me chirya ka badan khinchta gya
nabaz rukti gai,shakhon ki ragen khulti gaen

toot kar apni uranon se parinde aye
saanp ki aankhen darakhton pe bhi ab ugne lagin

shakh dar shakh ulajhti hen ragen peron ki
saanp se dosti, jangal me na bhatkae kahin

god le li he chatanon ne samandar se nami
jhote phoolon ke darakhton pe bhi khushbuen tikin


Friday, 3 January 2014

Dil Pe Aik Tarfa Qayamat Karna!!

dil pe ak turfa qayamat karna
muskurate huey rukhsat karna

achi aankhen jo mili hen us ko
kuch to lazim hua wehshat karna

jurm kis ka tha, saza kis ko mili
kia gai bat pe hujjat karna

kon chahe ga tumhe meri tarha
ab kisi se na mohabbat karna

gahr ka darwaza khula rakha he
waqt mil jae to zehmat karna!



Tuesday, 24 December 2013

Is Se Pehley Ke Shaam Ho Jaye!!!

Is se pehley ke dasht e imkaan mei
Wasl e janaan ki arzoo na rahe

Is se pehley ke baar e gham se kahin
Tujh ko pane ki justuju na rahe

Is se pehley ke loh e qismat per
Baab e ulfat tamaam ho jaye

Laut aao ke muntazer hai koi
Is se pehley ke shaam ho jaye!!!



Monday, 23 December 2013

Bohat Si Digriyan Le Kar!!

Suno......! 
bohat c digriyan le kar..... 
hunar pe dastras le kar....... 
nisab-e-chahat- e-dil k chamakte lafz
aankon se ager parhne se kasir ho tou ....... 
jahil ho....



Thursday, 19 December 2013

Thehri Thehri Si Tabiat Mei Rawaani Aai!

Thehri Thehri Si Tabiat Mei Rawaani Aai,
Aaj Phir Yaad Mohabbat Ki Kahani Aai!

Aaj Phir Neend Ko Aankhon Se Bichharte Dekha,
Aaj Phir Yaad Koi Chot Puraani Aai!

Muddaton Baad Chala Un Pe Hamara Jaadu,
Muddaton Baad Humain Baat Banani Aai!

Muddaton Baad Pashemaan Huwa Darya Hum Par,
Muddaton Baad Humain Pyaas Chupaani Aai!

Muddaton Baad Khuli Wusat e Sehra Hum Par,
Muddaton Baad Humain Khaak Uraani Aai!

Itni Asaani Se Milti Nahin Fun Ki Doulat,
Dhal Gai Umr To Ghazalon Pe Jawani Aai!


Wednesday, 18 December 2013

Ye Qayaam Kesa Hai Raah Mei!

Chand Muntakhib Ashaar!!

Thaki, Tooti Huwi Neendon Ke Darmyaan Aksar,
Bohot Chupke Se Jaag Uth'ti Han Teri Yaadain!!


Ye Qayaam Kesa Hai Raah Mei,
Terey Zouq e Ishq Ko Kia Hua,
Abhi Chand Kaantey Chubey Nahin,
Terey Sub Iraade Badal Gaye!!


Oron Ka Tajurba Jo Kuch Ho, Magar Hum To Firaaq,
Talkhi e Zeest Ko Jeene Ka Maza Kehtey Han!!


Itni Lambi Umar Bhi Na Maang Mere Lye Dost!!
Aesa Na Ho Ke Tum Bhi Chorr Do Or Mout Bhi Na Aye!!


Sunday, 15 December 2013

Jab Khoon Baha Talab Karen, Bunyaad Kuch Tou Ho!

Marney Chaley to Sitwat e Qaatil Ka Khouf Kiya!
Itna Tou Ho Ke Baandhne Paaye Na Dast o Paa!
Maqtal Mei Kuch To Rang Jamey Jashn e Raqs Ka!
Khoon Par Daman e Jallad Kuch Tou Ho!
Jab Khoon Baha Talab Karen, Bunyaad Kuch Tou Ho!


Wednesday, 11 December 2013

Tujh Mei Or Mujh Mei

Tujh Mei Or Mujh Mei,
Farq Sirf Itna Hai Dost..!

Tera Kuch Kuch Hoon Main...
Or Mera Sub Kuch Hai Tu...!


Another good set of couplets: Mai Jis Jaga Hoon Kisi Daleel Se Hoon
at: http://softsonnets.blogspot.com/2013/12/mai-jis-jaga-hoon-kisi-daleel-se-hoon.html

Wednesday, 4 December 2013

Mai Jis Jaga Hoon, Kisi Daleel Se Hoon!

Mai Inquilab Pasando Ki Ek Qabeel Se Hoon!
Jo Haqq Pe Datt Gya, Us Lashkar e Qaleel Se Hoon!

Mai Yoon Hi Dast o Garebaan Nahin Zamane Se!
Mai Jis Jaga Hoon, Kisi Daleel Se Hoon!



Friday, 29 November 2013

Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rivayaat!

Ab Tou Mumkin Hi Nahin Un Sey Mulaqaat!
Ab Tou Urooj Pe Ponchi Hai Us Ki Zaat!

Wohi Waadey Hain or Rasmoon Ki Zanjireen Baqi!
Kab Badalti Hain Zamaney Ki Rivayaat!


Tuesday, 26 November 2013

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!

Na Koi Fikar Lahaq Hai!!
Na Kisi Ki Yaad Aati Hai!!

Magar Ye Dusra Misraa,
Zara Saa Jhoot Lagta Hai!!


Friday, 22 November 2013

Tuesday, 19 November 2013

Aa Mere Yar e Qadah Raiz!!

Chand nikla he meri aankh
Mere dil me utare he tujhe
Aa mere yar e qadah raiz
Mera jaam pukare he tujhe


Yunhi tanhai me betha tha
Sar e sham bhulae huey sari dunya
Yunhi ik yad si jag uthi
To lagne lagi pyari dunya


Main to jesa bhi hun khush waqt hun
Kesi he tumhari dunya
Tum ne jis daoun jeeta he
Isi bazi me hari dunya

Aa mere yar e qadah raiz
Mera hath he khali kab se
Mera dil he choor zakhmon se
Meri aankh sawali kab se

Pesh e manzar me ab ajao
Ke hen asnaam khyali kab se
Muntazir haal me bethey huey logon ki tarha
Yun hi bajatey rahen taali kab se

Aa mere yar e qadah raiz
Mera nam he gali kab se!!

More sad urdu poetry


Saturday, 16 November 2013

Tankhwah Le Ke Bhi Khali Haath Rahey!!

Tankhwah Le Ke Bhi Khali Haath Rahey!!
Faqat Paise Ki Aani Jani Dekhi

Ye Nokri Ki Zindagani Bhi Ajab Thehri
Na Bacho Ka Bachpan Dekha, Na Biwi Ki Jawani Dekhi!!



Sunday, 20 October 2013

Jesay Teri Dunya Se Mujhay Kabhi Jana Hi Nahi Tha!!!

Dushman Meri Khushhiyon Ka Zamaana Hi Nahi Tha
Tum Ne Bhi Kabhi Apna Tou Jana Hi Nahi Tha

Kiya Karte Akele Mei Saja Kar Koi Mehfil!
Jab Saath Mera Kisi Ne Nibhana Hi Nahi Tha

Dil Ne Tou Bohot Chahaa Magar Kis Tarha Jeetay
Jeenay Ke Liye Koi Bahana Hi Nahi Tha

Murr Murr Ke Dekhtey Rahey Hum Umr Bhar Magar
Tum Aaye Nahin KiunKe Tum Ko Tou Anaa Hi Nahi Tha

Ab Jhuk Ke Meri Laash Ko Jhin Jhoor Rahay Ho
Jesay Teri Dunya Se Mujhay Kabhi Jana Hi Nahi Tha


Also read: Khamoshi Urdu Poetry

Sunday, 25 August 2013

Baat Niklay Gi Tou Phir Dour Talak Jaaye Gi!

Baat Niklay Gi Tou Phir Dour Talak Jaaye Gi
Logg Bewaja Udaasi Ka Sabab Poochen Gay
Yeh Bhee Poochen Gay K Tum Itnay Pareshan Kiu Ho
Ungliyan Uttain Gi Sookhay Howe Baalon Ki Taraf
Ek Nazar Dekhain Gay Guzray Howe Saalon Ki Taraf
Choorion Pe Bhee Kayi Tanzz Kiye Jaayen Gay
Kaanptay Haathon Pay Bhee Fikray Kasay Jaayen Gay
Logg Zaalim Hen Har Ik Baat Pay Taana Dain Gay
Baaton Baaton May Mera Zikr Bhee Ley Aayen Gay
Unki Baaton Ka Zara Saa Bhee Assr Mat Layna
Warna Chehray Kay Taassur Say Samajh Jaayen Gay
Chaahy Kuch Bhee Ho Sawaalat Na Karna Unn Say
Merey Baaray Me Koi Baat Na Karna Unn Say
Kiun Kay...,
Baat Niklay Gi Tou....!

Saturday, 27 July 2013

Hawa Thami Thie Zaroor Lekin

hawaa thami thie zaroor lekin
Wo sham jese sisak rahi thy

k zard patt'on  ko aandhion ne
ajeeb qissa suna diya tha

k jisko sun kar tamam patt'ay
sisak rahe thy bilak rahe thy

jaanay kis saanihay k gham mai
shajar jaron se ukhar chukay  thy

bohut talasha tha hum ne tmko
har aik rasta, har aik waadi
har aik parbat, har aik ghaati

kaheen se teri khabar na aai thie
to keh k hum ne dil ko taala

hawaa thamay gi to dekh laingy
hum uske raston ko dhoond laingy

magar hmari ye khush khyali
jo humko barbad kr gai thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

hmaray baalon k janglon main
safaid chandni uttar chuki thie

falak pe taaray nahi rahay thy
ghulab pyaray nahi rahay thy

wo jin se basti thie dil ki basti
wo log saare ni rahay thie

ye almiya sb se baala tar tha
k hum tmhaare nahi rahey thie
k hum tmhaare nahi rahay thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

Read:
Poetry Ghazal on Khulus e Dil Se Aari Han Yahan Insan Bohot


Sunday, 21 July 2013

Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Tujhey Kiya Khabar Merey Haal Ki..!
Merey Dar..! Merey Malaal Ki..!

Yey Merey Khayaal Ka Silsilaah..!
Kisi Yaad Sey Hai Milaa Howa..!

Usey Dekhnaa..! Usey Sochnaa..!
Meri Zindagi Ka Hai Faysala..!

Yey Ussi Ki Palkoon Key Saayey Hen..!
Meri Rooh Mey Jo Utarr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Mujhey Iss Maqaam Pey Choorna..!
Hai Yey Bewafaai Ki Intehaa..!

Yey Qafass Ho Jesey Khuli Fizaa..!
Yaheen Sukhh Ka Saans Mai Loon Sadaa..!

Jinhen Teri Deed Ki Piyaas Thi..!
Woh Katoray Nainoon Sey Bharr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!


Read Another Urdu Ghazal
Bicharnay Wale Ka Ab Tak