Daily Free Naaz Sms On your mobile

Daily Free Naaz Sms On your mobile
Daily Mobile Sms Free
Showing posts with label Parveen Shakir Poetry. Show all posts
Showing posts with label Parveen Shakir Poetry. Show all posts

Friday, 9 March 2012

Apni hee sadaa sunuun kahan tak ???

Apni hee sadaa sunuun kahan tak ???
Jungul ki hawa rahuun kahan tak ???
Har baar hawa na hogi dar per
Har baar magar uthuun kahan tak ???
Dum ghut�ta hai ghar mein hubs wo hai
Khushbo ke lye apna raffuu karuun kahan tak ???
Saahil pe samandaron se bach kar
Mein naam tera likhoon kahan tak ???
Tanhaayi ka ek ek lamha
Hungaamon se qarz loon kahan tak ???
Gar lams nahee tou lafz hee bhej
Mein tujh se juda rahuun kahan tak ???
Sukh se bhee tou dosti kubhi ho
Dukh se hee galay miluun kahan tak ???
Mansoob ho har kiran ksi se
Apnay hee lye jaluun kahan tak ???
Aanchal mere bhar ke phat rahay hain
Phool us ke lye chunuun kahan tak ???

Parveen Shakir Poetry

Chaara Saazon Ki Azyat Nahi Dekhi Jaati
Tere Bimaar Ki Haalat Nahi Dekhi Jaati
Dene Waalay Ki Mashiyyat Pe Hai Sab Kuch Mauqoof
Maangnay Waalay Ki Haajat Nahi Dekhi Jaati
Din Behel Jaata Hai Laikin Tere Dewaanon Ki
Shaam Hoti Hai Tou Wehshat Nahi Dekhi Jaati
Tamkanat Se Tujhay Rukhsat Tou Kia Hai Laikin
Ham Se In Aankhon Ki Hasrat Nahi Dekhi Jaati
Kon Utraa Hai Ye Aafaaq Ki Pehnaayi Mein ?
Aaina Khaanay Ki Hairat Nahi Dekhi Jaati

Sunday, 5 February 2012

Parveen Shakir Shayari

Parveen Shakir :

Zaroorat Tor Deti Hai Gharur O Byniazi Ko
Na Hoti Koi Majburi To Har Banda Khuda Hota�

Bura Lagta Hai.......Heart Touching Poetry

(PERVEEN SHAKIR')

Tum meri yaad mein sulgo to "bura" lagta hai,

Tum mere dedar ko tarso to "bura" lagta hai,

Ek tamnna hai faqat mujh pe mehrban raho,

Tum kisi or ko dekho to "bura" lagta hai,

Meri rooh tarasti hai tumhari kushbo ko,

Tum kahin or jo mehko to "bura" lagta hai,

Arzo hai k tere roop ko har pal dekhoon,

Tum mere pas se utho to "bura" lagta hai,

Main utha sakti hoon jab naaz tumhare!!

Tum kisi or ko chaho to "bura" lagta hai.

Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi.....Poetry by Parveen Shakir

Ajib tarz-e-mulaqat ab k bar rahi

tumhin the badle hue ya meri nigahen thin
tumhari nazron se lagta tha jaise meri bajaye
tumhare ghar main koi aur shakhs aya hai
tumhare ohad ki denen tumhen mubarak

so tum ne mera swagat usi tarah se kiya
jo afsaran-e-hukumat k aitaqad main hai
takallufan mere nazdik a k baith gaye
phir ehtamam se mausam ka zikr cher diya

kuch us k bad siyasat ki bat bhi nikli
adab par bhi koi do char tabsare faramaye
magar na tum ne hamesha ki tarah ye pucha
kya waqt kaisa guzarta hai tera jan-e-hayat

pahar din ki aziyat main kitni shiddat hai
ujar rat ki tanhai kya qayamat hai
shabon ki sust rawi ka tujhe bhi shikwa hai
gam-e-firaq k qisse nishat-e-wasl ka zikr
rawayatan hi sahi koi bat to karte

chehra mera tha nigahen us ki

chehra mera tha nigahen us ki
khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain
sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin
tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne
subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi
ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha
andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar
kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai
mujh ko thame hue bahen us ki

Wo To Khushbu Hai Hawaon Main Bikhar Jayega

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega
masla phul ka hai phul kidhar jayega

ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega
kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai
ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye
mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi
tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

Sundar Komal Sapnon Ki Barat Guzar Gai Janan

Sundar komal sapnon ki barat guzar gai janan
dhup ankhon tak a pahunchi hai rat guzar gai janan

bhor samay tak jis ne hamain baham uljhaye rakha
wo albeli resham jaisi bat guzar gai janan

sada ki dekhi rat hamain is bar mili to chup k se
khali hath pe rakh k kya saugat guzar gai janan

kis konpal ki as main ab tak waise hi sar-sabz ho tum
ab to dhup ka mausam hai barsat guzar gai janan

log na jane kin raton ki muraden manga karte hain
apni rat to wo jo tere sath guzar gai janan

Mushkil Hai Ab Shahar Main Nikle Koi Ghar Se.....Parveen Shakir

mushkil hai ab shahar main nikle koi ghar se
dastar pe bat a gai hai hoti hui sar se

barsa bhi to kis dasht k be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse

is bar jo indhan k liye kat k gira hai
chiriyon ko bara pyar tha us burhe shajar se

mehnat meri andhi se to mansub nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

khud apne se milne ka to yara na tha mujh main
main bhir main gum ho gai tanhai k dar se

benam musafat hi muqaddar hai to kya gam
manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar se

pattharaya hai dil yun k koi ism parha jaye
ye shahar nikalta nahin jadu k asar se

nikle hain to raste main kahin sham bhi hogi
suraj bhi magar ayega is rah-guzar se

Kuch Faisala To Ho K Kidhar Jana Chahiye.....Poetry by Parveen Shakir

kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye
pani ko ab to sar se guzar jana chahiye

har bar aeriyon pe gira hai mera lahu
maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye

kya chal saknge jin ka faqat mas'la ye hai
jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye

sara jwar-bhata mere dil main hai magar
ilzam ye bhi chand k sar jana chahiye

jab bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi
akhir ko kitni der se ghar jana chahiye

tohamat laga k man pe jo dushman se dad le
aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye

Khushbu Hai Wo To Chu K Badan Ko Guzar Na Jaye.....Parveen Shakir

khushbu hai wo to chu k badan ko guzar na jaye
jab tak mere wajud k andar utar na jaye

khud phul ne bhi honth kiye apne nim-wa
chori tamam rang ki titli k sar na jaye

is khauf se wo sath nibhane k haq main hai
kho kar mujhe ye larki kahin dukh se mar na jaye

palkon ko us ki apne dupatte se ponch dun
kal k safar main aj ki gard-e-safar na jaye

main kis k hath bhejun use aj ki dua
qasid hawa sitara koi us k ghar na jaye

Baad Muddat Usay Dekha "Logo"

Ajnabi By Parveen Shakir

Kitni Dair Tak