Daily Free Naaz Sms On your mobile

Daily Free Naaz Sms On your mobile
Daily Mobile Sms Free
Showing posts with label mohsin poetry. Show all posts
Showing posts with label mohsin poetry. Show all posts

Saturday, 19 April 2014

Kuch Zikar Karo Us Mosam Ka Jab Rim Jhim Raat Raseeli Thi!

kuch zikar karo us mosam ka jab ram jham rat raseeli thi
jab subha ka roop rupehla tha jab sham boht sharmeeli thi
jab phool mehekti rahon per qadmon se gajar baj uthte they
jab tan me sans ke sargam ki her deepak taan sureeli thi
jab khawab sarab jazeeron me khush fehem nazar ghul jati thi
jab piyar pawan ke jhonkon se har yad ki moj nasheeli thi
amrat ki mehek thi baton me nafrat ke sharar thay palkon per
wo hont nehayet meethay they wo aankh boht zehreeli thi
mohsin us sheher me marne ko ab is ke siwa kuch yad nahin
kuch zeher tha sheher ke pani me kuch khak ki rangat neeli thi



Friday, 6 December 2013

Wednesday, 12 December 2012

Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hai Aaj


Fasal e Khiraad Hay Rang e Chaman Dekhtey Chalo
Phir Ehtamaam e Daar o Rasan Dekhtey Chalo...


Dilchasp Waqia Hay Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarron Ka Jal Rha Hay Badan Dekhtey Chalo...


Tanqeed Mat Karo Keh Zamana Kharaab Hay
Chup Chaap Doston Ka Chalan Dekhtey Chalo...


Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hay Aaj
Shaffaf Chandni Ka Kafan Dekhtey Chalo...


More in Urdu Ghazals

Tuesday, 12 June 2012

""""Chandni jheel na shabnam na kanwal me ho ga""

 


 Chandni jheel na shabnam na kanwal me ho ga
ab tera aks faqat meri ghazal me ho ga


Aur ik saans ko jeene ki tamanna kar le'n
aik lamha to abhi dast-eajal me ho ga


rakh mazi ki kuredo na palat kar dekho
aaj ka din bhi huwa ghumm to wo kal me ho ga


kyun kisi morr pe ruk ruk k sada de'n usko
wo to masroof masafat k amal me ho ga


usko neendon k nagar me na basa'o Mohsin
warna shamil wohi nindon k khalal me ho ga

Saturday, 11 June 2011

Saturday, 4 June 2011

Bakhsha Hai Jis Nay RooH Ko...

Bakhsha Hai Jis Nay RooH Ko
Zakhmo Ka Pairhann...

Mohsin Wo Shakhs Kitna Tabyat ShanaaS Tha...


more SAD shair

Friday, 29 April 2011

Abar Barsa Na Hawa Taiz ChaLi Hy Ab Ke

Abar Barsa Na Hawa Taiz ChaLi Hy Ab Ke
Kitni VeeRan Teri YaadoN Ki Gali Hy Ab Ke

Sehan-E-Gulshan Ki Hawa Hy K Qaza Ki Dastak
Kitni Sehmi Hui Har Ek KaLii Hy Ab Ke

Ya Teri Aankh Ke KashkoL Me, Aansu Chamkaa!!
Ya Andherey Mei Koi Shama JaLi Hy Ab Ke

Subha Ki Dhoop Uter Aai Hy Mery BaaLon Mei
Shab DhaLi Hy, Ke Meri Umer DhaLi Hy Ab Ke

Kis Ko Fursat Hy Ke DhuwaaN Dekhny Jaye MOHSIN!!
Jhonpri  Shehar  Sy  Kuch  Duur  JaLi  Hy Ab Ke....!!


More Sad Ghazals

Friday, 18 March 2011

Koi Hastaa Hai Apni AdaaoN Pe


Ye Judaai Bhi Mohabbat Kaa Imtihaan Hotey Han Mohsin
Koi Hastaa Hai Apni AdaaoN Pe, Koi Rota Hai Apni WafaooN Pe


Thursday, 2 December 2010

Thursday, 2 September 2010

Wo Log He Qadmoon Se Zamin Cheen Rahy Han

Wo log he qadmoon se zamin cheen rahy han
JO log mrey qadd ke baraber nahi aaty

Ek 'Tum' ke tmhary lye mai' bi mri jaan bi
Ek mai' k mjhe tum bi muyassir nahi aaty

Jis shan se lauty han ganwaa kar dil o jaan hum
Is taur to haarey huwe laskhar bi nahi aaty

Koi to khabar ley mrey dushman e jaan ki
Kuch din se mrey sehen mei pathar nahi aaty

Dil bi koi aaseb ki nagri hy k 'MOHSIN'
Jo is se nikal jatey han murr kr nahi aaty...


Click here for more Sad Poetry

Wednesday, 1 September 2010

Kal Rat Bazm Mei Jo Mila Gul Badan Saa Thaa


Kal Rat Bazm Mei jo Mila Gul Badan Saa Thaa
Khushbu Sey Us ke Lafz Thy Chehraa Chaman Saa Thaa

Deikha Ussey To Bool Pary Us Ke Khad o Khal
Pucha Ussey To Chup Saa Raha, Kum Sukhan Saa Thaa

Tanhaiyon Kii Rutt Mei Bhi Lagtaa Thaa Mutma'in
W0h Shakhs Apnii Zaat Mei Ek Anjuman Saa Thaa

Soocha Ussey To Maen Kayee Rangoon mei Kho Gayaa
Alam Tamam Us Ke Haseen Pairhan Saa Thaa

Jo Shakh Shakh Thee wo Usi Ke Laboon Se Thii
Jo Phuul Khill Gaya Thaa Wo Usi Ke DeheN Saa Thaa

Wo Saadgi Pehen Ke Bhii Dil Mei Utar Gaya
Us Kii Har Ik Adaa Mei Ajab Bholpan Saa Thaa

Asaan Samaj Rahey The Ussey Sheher e Jaan Ke Loog
Mushkil Thaa Is Qadar Ke Mre Apney Fun Saa Thaa

Wo guftgoo thii us kii usi ke liye hii thii!
Kehney ko yun tu maen bhii shariik e sukhn saa thaa

Tarey thy chandni meiN Ke tohmat ke daagh thy
Mohsin kal aasmaan bhii merey kafaN saa thaa...

Mohsin Naqvi, a great urdu poet, endowed a very nice collection of sad and serious poetry to the readers. Read the last verse, how beautiful!!!



Click here for more Sad Poetry