Daily Free Naaz Sms On your mobile

Daily Free Naaz Sms On your mobile
Daily Mobile Sms Free
Showing posts with label urdu ghazals. Show all posts
Showing posts with label urdu ghazals. Show all posts

Sunday, 21 July 2013

Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Tujhey Kiya Khabar Merey Haal Ki..!
Merey Dar..! Merey Malaal Ki..!

Yey Merey Khayaal Ka Silsilaah..!
Kisi Yaad Sey Hai Milaa Howa..!

Usey Dekhnaa..! Usey Sochnaa..!
Meri Zindagi Ka Hai Faysala..!

Yey Ussi Ki Palkoon Key Saayey Hen..!
Meri Rooh Mey Jo Utarr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!

Mujhey Iss Maqaam Pey Choorna..!
Hai Yey Bewafaai Ki Intehaa..!

Yey Qafass Ho Jesey Khuli Fizaa..!
Yaheen Sukhh Ka Saans Mai Loon Sadaa..!

Jinhen Teri Deed Ki Piyaas Thi..!
Woh Katoray Nainoon Sey Bharr Gaye..!

Yey Junoon e Manzil e Ishhq Hai..!
Jo Chaley Tou Jaan Sey Guzarr Gaye..!


Read Another Urdu Ghazal
Bicharnay Wale Ka Ab Tak


Monday, 31 December 2012

December Ki Aakhri Shab!

December Ki Ye Aakhri Shab!
Meray Doston Ke Naam!

Meri Subb Duuaen!
Meray Doston Ke Naam!

Kuch Ko Mai Ne Manaya!
Kuch Ne Mujhe Manaya!

Hum Ne Diye Ilzaam!
Ik Doosray Ke Naam!

Kuch Waaday Kiye Poore!
Kuch Reh Gaye Adhoore!

Nibhayenge Her Rishta!
Ahed e Wafa Ke Naam!

Chalti Rahey Ye Dosti!
Ta'Dum e Ikhtetaam!

Mera Hay Ye Peghaam!
Meray Doston Ke Naam!

Bheja Hay Ye Peghaam!
Apne Doston Ke Naam!

December Ki Aakhri Shab!
Meray Doston Ke Naam!!


More in Urdu Poetry

Sunday, 30 December 2012

Abhi Kuch Lamhey Baki Hain!


Abhi Kuch Lamhey Baki Hain
Saal Ke Khatm Hone Mei...

Chalo Aesa Kren Hum Tum
Giley Shikwey Jo Rehte Hain...

Humesha Darmiyaan Apney
Kiyun Na Khatm Kr Dalen...

Naye Waade, Nayi Kasmen
Nayi Ummeed Hum Bandhen...

Naye Andaaz Se Jeewan
Ka Ik Ik Rukh Badal Dalen...

Dilon Mei Hain Kadorat Jo
Humm Us Ko Khatm Kr Dalen..

Abhi Kuch Waqt Baki Hai
Naya Phir SAAL Aane Mei


Advance Happy New Year 2013!

Saturday, 22 December 2012

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!


Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Tanha Saavan Bitaa Raha Hoon
Mai Saarey Armaan Jala Chuka Hoon
Jo Sholay Bharkey The Khwahisho Ke
Vo Aansu'on Sey Bujha Chuka Hoon!

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Chaak Daman Ko Si Raha Hoon
Bari Hi Mushkil Se Ji Raha Hoon
Diya Jo Nafrat Ka Zeher Us Ne
Samajh Ke Amrit Vo Pee Raha Hoon!

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Baghaer Us Ke Udaas Hoon Mai
Badalti Rutt Ka Qayyas Hoon Mai
Bujha Dey Apni Mohabbaton Sey
Sulagti Sadii'on Ki Pyaas Hoon Mai

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Tanha Saavan Bitaa Raha Hoon!


More in sad urdu poetry

Friday, 21 December 2012

Yaar Ke Ajaane Ko Yakayak Umr Dubaraa Janey Hay


Pata Pata, Boota Boota, Haal Hamara Janey Hay
Janey Na Janey, Gul Hi Na Janey, Bagh To Sara Janey Hay

Aashiq Sa To Saada Koi Or Na Ho Ga Duniya Mei
Jee Ke Zian Ko Ishq Mei Uskey Apna Waara Janey Hay

Chara Gari Bemari-e-Dil Ki Rasm e Shehr e Hussn Nahi
Warna Dilber e Nadaan Bhi Iss Dard Ka Chaara Janey Hay

Meher-o-Wafa-o-Lutf-o-Inaayat, Eik Se Waqif In Mei Nahi
Or To Sab Kuch Tanz-o-Kinaya, Rams-o-Ishaara Janey Hay

Aashiq To Murda Hay Hamesha Uth'ta Hay Dekhe Se Usey
Yaar Ke Ajaane Ko Yakaayak, Umr Dubaraa Janey Hay

Tashna-e-Khoon Hay Apna Kitna, Mir Bhi Nadaan Talkhi Kash
Damdaar Aab-e-Tegh Ko Uskey, Aabe-e-Gawara Janey Hay


More in urdu ghazals

Wednesday, 12 December 2012

Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hai Aaj


Fasal e Khiraad Hay Rang e Chaman Dekhtey Chalo
Phir Ehtamaam e Daar o Rasan Dekhtey Chalo...


Dilchasp Waqia Hay Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarron Ka Jal Rha Hay Badan Dekhtey Chalo...


Tanqeed Mat Karo Keh Zamana Kharaab Hay
Chup Chaap Doston Ka Chalan Dekhtey Chalo...


Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hay Aaj
Shaffaf Chandni Ka Kafan Dekhtey Chalo...


More in Urdu Ghazals

Thursday, 25 October 2012

Hum Juda Kis Se Howe


Din Ko Masmaar Howe, Raat Ko Taamir Howe
Khwaab Hi Khwaab Faqat, Rooh Ki Jaagir Howe


Umr Bhar Likhtey Rahe, Phir Bhi Warq Saada Raha
Jaane Kia Lafz The, Jo Hum Se Na Tehreer Howe


Yeh Alag Dukh Hai Ke, Han Tere Dukhon Se Azad
Yeh Alag Qaid Hai Hum, Kiun Na Zanjeer Howe


Deeda o Dil Mei Tere, Aks Ki Tashkeel Se Hum
Dhool Se Phool Howe, Rang Se Tasvir Howe


Kuch Nahi Yaad Guzishta Shab Ki Mehfil Mei Faraz
Hum Juda Kis Se Howe, Kis Se Baghal Gir Howe


More in sad poetry sms

Saturday, 20 October 2012

Jo Dost Nazar Aatey Han!


Wo Tark e Talluq Ka Ishara Bhi Nahin Kartey
Par Baat Bhi Hum Se Karna Gawara Nahin Kartey

Hum Jin Ko Basa Letey Han Ik Bar Nazar Mei
Phir Un Ko Kabhi Dil Se Utara Nahin Kartey

Apney Liye Bus Ik Yarana Hi Bohot Hai
Hum Koi Bhi Ghalti Dubara Nahin Kartey

Jo Dost Nazar Aate Han, Baatin Me Han Dushman
Hum Jaante Han Phir Bhi Kinara Nahin Kartey

Jab Tak Wo Salamat Han, Adawat Ka Maza Hai
Dushman Ko Kabhee Jan Sey Maara Nahin Kartey...


Posted in poetry sms

Saturday, 28 July 2012

Nibhaney Ka Irada Ho!


Nibhaney Ka Irada Ho
To Waada Kar Liya Jaey

Chalo Mil Kar Gham e Hasti Ko
Aadha Kar Liya Jaey

Andheri Shab Ka Khatra Ho
To Aisa Kar Liya Jaey

Kisi Jugnoo Ki Baanhon Ko
Sahara Kar Liya Jaey

Yahan Kaante Bhi Ugtey Han
Yahan Kaliyan Bhi Khilti Han

Inhi Ke Darmiyan Reh Kar
Guzara Kar Liya Jaey


Posted in Sad Poetry SMS

Tuesday, 12 June 2012

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se - Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hay!



Ek Yehi Roshni Imkaan Mei Hay
Tuu Abhi Tak Dil-e-Veeran Mei Hay

Shor Barpa Hay Teri Yaadon Ka
Ronaq-e-Hijar Bayabaan Mei Hay

Pyaar Aur Zindagi Se Lagta Hay
Koi Zinda Dil-e-Be-Jaan Mei Hay

Aaj Bhi Terey Badan Ki Khushbuu
Terey Bhejay Howay Guldaan Mei Hay

Zindagi Bhi Hay Meri Aankhon Mei
Mout Bhee Deeda-e-Hayraan Mei Hay

Dil Abhi Niklaa Nahi Seenay Se
Ek Qaidi Abhi Zindaan Mei Hay

Filed in Sad Poetry SMS

Wednesday, 8 February 2012

Dil Me Ek Dard Badastoor!


Dil Mei Ek Dard Badastoor Gawara Karna
Itna Aasan Nahin Yaadon Pe Guzara Karna

Jaan Deni Hay Tere Ishq Mei Hai Yaad Mujhe
Bhool Hi Jaon Agar Mai To Ishara Karna

Kaisey Kar Lenge Kahin Or Bata Pyar Hai Ye
Shughal Hota To Mumkin Tha Dobara Karna

Wuss'aten Or Na Raaton Ke Andhere Ki Barhen
Tum Sar e Sham Na Zulfon Ko Sanwara Karna

Aqal To Sochti Hai Tark e Wafa Ki Baaten
Dil Ye Kehta Hai Isse Tum Na Khudara Karna


Filed in Urdu Ghazals


Saturday, 13 August 2011

Ek Mohabbat Hy

Ek Mohabbat Hy Or
Us Ki Ek Nishaani Hy

Ek Dil Hy Jaisy
Haweli Koi Puraani Hy

Safar Raat Ka Hy Or
Raat Bhi Toofaani Hy

Samander Hi Samander Hy
Kashti Bhi Doob Jani Hy

Ibtada-e-Ishq Sey
Intaha-e-Ishq Tk

Mai Hi Tha BeWafa Or
Mujhe Hi Wafa Nibhani Hy

Mai Laut Aya Hun
Manzill Ko Dekh Kr

Udhar To Yaaro
Virani Hi Virani Hy

Ye Intazaar-e-Sehar
Khatam Kiu Nhi Hota

Kisi Sey Pucho Akhir
Maut Kb Aani Hy......


More Sad Poetry

Saturday, 2 July 2011

Kitaab Saada Rahe Gi Kb Tak

Kitaab Saada Rahe Gi Kb Tak
Kbhi To Aghaaz E Baab Hoga

Jinho Ne Basti UjaarR Daali
Kbhi To Un Ka Hisaab Hoga

Saher Ki KhushyaaN Manaane Walo
Saher Ke Tewar Bata Rhe Han

Abhi To Itni Ghutan Barhe Gi
Ke Saans Lena Azaab Hoga

Uthey Gi Hm Pr Jo Eent Koi
To Patthar Us Ka Jawab Hoga

Sukoon E Sehraa Me Basny Walo
Zara RutoN Ke Mizaaj Smjho

Jo Aaj Ka Din Sukoon Se Guzraa
To Kal Ka Mousam Kharab Hoga........


More Sad Ghazals

Saturday, 11 June 2011

Kuch To Hai Tuu Badal Gaya Hai

Kuch To Hai...
Tuu Badal Gaya Hai!!

Vo Teri Aankhon Mei Khwab Saarey,
Vo Baatein Saari,
Hisaab Saarey,
Sawaal Saarey,
Jawaab Saarey,
Vo Khushiyaa Saari
Vo Dukh Saarey,
Nasha Tha Jo Vo Uter Gaya Hai!!

Kuch To Hai...
Tuu Badal Gaya Hai!!

Jo Terey Milne Ki Aarzu Thi,
Hui Jo Chahat Abhi Shuroo Thi,
Jo Teri Aankho Mei Roshni Thi,
Jo Teri Baato Ki Raagni Thi,
Jo Teri Saanso Ki Taazgi Thi,
Jo Tery Lehjey Mei Chashni Thi,
Vo Saari Baatein Badal Gai Han,


Kuch To Hai...
Tuu Badal Gaya Hai!!


 More Urdu Ghazals

Sunday, 29 May 2011

Bas Ek Tamasha Ye Zeest Thehri!!!

Wajood Apna, Na RooH Apnii
Bas Ek Tamasha Ye Zeest Thehri

Na Dil Lagi Mei Sukoon Payaa
Na Aashiqi Mei Qaraar Payaa

Na Wasl Lamhey Hi Raas Aaye
Na Firaaq Hi Hum Guzaar Paaye

Ajab Ye Chahat Ke Marhaley Han
Na Jeet Paaye, Na Haar Paaye

Na Hi YaadoN Ki Dhund Utri
Na Dil Ke Daaman Ko Jhaar Paaye

Na Aankhen KhwaaboN Ko Dhund PaaeeN
Na Khwab Aankhon Ko Dhund Paaye

Bas EK Tamasha Ye Zeest Thehri
Wajood Apna, Na Rooh Apnii


More Sad Ghazals

Friday, 27 May 2011

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho

Adhuri Baatein Jo Kar Gye Ho
Merey He Dil Mei Utar Gye Ho

Kis Ki Chahat Ka Ye Asar Hy
Ke Raiza Raiza Bikhar Gye Ho

Tum Hi To Ho Jo Hamary Dil Ki
HadoN Ko Chu Kr Guzar Gye Ho

Hamara Thaamo Ge Haath Kia Tm
Abhi Se Dunya Se Dar Gye Ho

Chaley Gye Ho Nazar Jhuka K
Humein Deewana Sa Kr Gye Ho

Bhool Bethy Ho Ehed Saary
Abhi Se Kiu Tm Mukr Gye Ho

Dhoondtee Hy Nazar Ye Tm Ko
Aa Bhi Jaao Kidhr Gye Ho




Urdu Ghazals

Friday, 20 May 2011

Yeh SurKhi Jo Hy Terey ~Lab~o~Rukhsaar~ Pe Janaa'N

Yehi Surkhi Jo Hy Terey ~Lab~o~Rukhsaar~ Pe Janaa'N!
Yehi RanG-e-Sukhan Bharr Dey Mery Ash'aaR Mei Janaa'N!

NiraaLi Shaan Sey Aaun Ga Sub Hairat Sey DekheN Ge,
Libaas-e-IshQ Pehnu Ga Tery Darbaar Mei Janaa'N!

Mery DiLki Ye Kefiat Khuley Tum Pey To Kia KehneY,
Takaluf Hai HumeiN Jazbaat K Izhaar Mei Janaa'N!

Ye Taariki Ghatey Kesey,  Shab-e-Furqat Katey Kesey,
Sehar To So Gai Shayd, Terey Rukhsaar Mei Janaa'N!

Hamaari Koi Qeemat Ho Na Ho Kiya Farrq Partaa Hy,
Magar Hum To BikeN Ge Misr Ke Bazaar Mei Janna'N!

Suni HaN Shab Ke Sannaty Mei HumNe SisskiyaaN Aksar,
Abhi Zindaa Hy Wo Shayed Kisi Dewaar Mei Janaa'N!!!


More Urdu Ghazals

Saturday, 7 May 2011

Ghaao Ginty Na Kabhii Zakhm Shumaari Karty

Ghaao Ginty Na Kabhii Zakhm Shumaari Karty
Ishq Mei Agar Hum Bhii Waqt Guzaari Karty

Tujh Mei To Khair Muhabbat Ke Thy Pehlu Bhi Boht
Dushman-e-Jaa'N Bhi Agar Hota To Yaari Karty

Ho Gaey DhuuL Tery Raah Mei Baethy Baethy
Ban Gaey Aks Teri Aaeena Dari Karty

Waqt Aaya Hai Judai Kaa To Ab Sochty HaN
Tujhy Aasab Pe Itna Bhi Naa Tari Karty

Aakhri Daao Lagana Nahi Aaya Hum Ko
Zindagi Beet Gai Khud Ko Juwaari Karty...


~~One of the Best Ghazals~~

More Sad Ghazals

Thursday, 26 August 2010

Baras Raha Hai Aber e Asmaan Merey Liye...

Baras raha ha aber e asmaan merey liye,
Sajadiya hai dard.e.do jahan merey liye...

Wo mustaqil mujhe chahne ka jurm kar na saka,
Kabhi kabhi to howa maherban merey liey...

Karey tufano mei b dubnai ni dayta,
Ajata hai koi darmiyan merey liye...

Mili hain bai shumar lazatain issi raah mai,
Safar ma horaha ha imtehan merey liye...

Tasaliyan to dai gaiey hain merey Dost mujhe,
Kahan se layen ge par meri jan merey liye...

Ye dil b khub ha is se hi hum kalam rahe,
Kare jo talgh se chahe bayan merey liye...

Issi liye to dhoop se hi dosti karli,
Na bun saka koi b saiban mare liye...

Nahi! Nahi! mujhe qasid yaqen nahi hota,
K horahe tha sanam pashaiman mere liye...

Meri qabar pe merey bad bus wafa likhna,
Yahi tha zindagi k unwan mere liye...

Main sub ko ek nigah se dekhta hon Faraz,
Hain ek faqeer-o-suleman mare lie...


Saturday, 21 August 2010

Tum Apney Khatt Me Yuun Lafzoon Ka Silsilaa Rakhnaa

Tum apney khatt me yuun lafzoon ka silsilaa rakhnaa
Har ik lafz ka mafhuum doosra rakhnaa.....

Tumharey lab kii mehek raaz faash kr dey gi
lifaafa bnd na kerna yuun he khula rakhnaa...

Na itna tuut ke miliiye ke dil pe shak guzrey
Khuloos mei bhii zaroori hei faasla rakhnaa.....

Mai zindagii mei kahi'n tum se mil he jaaunga
Magar yeh shart hei bichharney ka hauslaa rakhnaa...

Ye sooz o karb mujhey tajarboon ney bakhshey han
Jalanaa shamaa to daman se faasla rakhnaa........


One of my favorite sad poetry