Daily Free Naaz Sms On your mobile

Daily Free Naaz Sms On your mobile
Daily Mobile Sms Free
Showing posts with label urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label urdu poetry. Show all posts

Friday, 17 January 2014

Zarey Sarkash Huey, Kehne Me Hawaen Bhi Nahin!!

zarey sarkash huey, kehne me hawaen bhi nahin
aasmanon pe kahin tang na ho jae zameen

aa ke dewaar pe bethi thin ke phir ur na sakin
titlian banjh manazir me nazar band huin

pair ki sanson me chirya ka badan khinchta gya
nabaz rukti gai,shakhon ki ragen khulti gaen

toot kar apni uranon se parinde aye
saanp ki aankhen darakhton pe bhi ab ugne lagin

shakh dar shakh ulajhti hen ragen peron ki
saanp se dosti, jangal me na bhatkae kahin

god le li he chatanon ne samandar se nami
jhote phoolon ke darakhton pe bhi khushbuen tikin


Friday, 3 January 2014

Dil Pe Aik Tarfa Qayamat Karna!!

dil pe ak turfa qayamat karna
muskurate huey rukhsat karna

achi aankhen jo mili hen us ko
kuch to lazim hua wehshat karna

jurm kis ka tha, saza kis ko mili
kia gai bat pe hujjat karna

kon chahe ga tumhe meri tarha
ab kisi se na mohabbat karna

gahr ka darwaza khula rakha he
waqt mil jae to zehmat karna!



Tuesday, 24 December 2013

Is Se Pehley Ke Shaam Ho Jaye!!!

Is se pehley ke dasht e imkaan mei
Wasl e janaan ki arzoo na rahe

Is se pehley ke baar e gham se kahin
Tujh ko pane ki justuju na rahe

Is se pehley ke loh e qismat per
Baab e ulfat tamaam ho jaye

Laut aao ke muntazer hai koi
Is se pehley ke shaam ho jaye!!!



Sunday, 20 October 2013

Jesay Teri Dunya Se Mujhay Kabhi Jana Hi Nahi Tha!!!

Dushman Meri Khushhiyon Ka Zamaana Hi Nahi Tha
Tum Ne Bhi Kabhi Apna Tou Jana Hi Nahi Tha

Kiya Karte Akele Mei Saja Kar Koi Mehfil!
Jab Saath Mera Kisi Ne Nibhana Hi Nahi Tha

Dil Ne Tou Bohot Chahaa Magar Kis Tarha Jeetay
Jeenay Ke Liye Koi Bahana Hi Nahi Tha

Murr Murr Ke Dekhtey Rahey Hum Umr Bhar Magar
Tum Aaye Nahin KiunKe Tum Ko Tou Anaa Hi Nahi Tha

Ab Jhuk Ke Meri Laash Ko Jhin Jhoor Rahay Ho
Jesay Teri Dunya Se Mujhay Kabhi Jana Hi Nahi Tha


Also read: Khamoshi Urdu Poetry

Saturday, 28 September 2013

Hawaaen Sard Ho Jaaen ' Ya Lehjay Barf Ho Jaaen

Hawaaen Sard Ho Jaaen
Ya Lehjay Barf Ho Jaaen,

Hum Us Ki Yad Ki Chadar Ko
Khud Pe Taan Letay Hain

Suno Darvaish Logon Ki

Koi Dunya Nahin Hoti

Milay Jo Khaak Rastay Mai
Usi Ko Chhan Letay Hain

Agar Woh Rooth Jata Hay
Hamari Jaan Jaati Hay

Yeh Saansain Jari Rakhnay Ko
Hum Us Ki Maan Letay Hain...!


Read another beautiful poetry
Tum Mangte Phiro Ge



Saturday, 27 July 2013

Hawa Thami Thie Zaroor Lekin

hawaa thami thie zaroor lekin
Wo sham jese sisak rahi thy

k zard patt'on  ko aandhion ne
ajeeb qissa suna diya tha

k jisko sun kar tamam patt'ay
sisak rahe thy bilak rahe thy

jaanay kis saanihay k gham mai
shajar jaron se ukhar chukay  thy

bohut talasha tha hum ne tmko
har aik rasta, har aik waadi
har aik parbat, har aik ghaati

kaheen se teri khabar na aai thie
to keh k hum ne dil ko taala

hawaa thamay gi to dekh laingy
hum uske raston ko dhoond laingy

magar hmari ye khush khyali
jo humko barbad kr gai thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

hmaray baalon k janglon main
safaid chandni uttar chuki thie

falak pe taaray nahi rahay thy
ghulab pyaray nahi rahay thy

wo jin se basti thie dil ki basti
wo log saare ni rahay thie

ye almiya sb se baala tar tha
k hum tmhaare nahi rahey thie
k hum tmhaare nahi rahay thie

hawaa thami thie zaroor lekin
bari hi muddat guzar chuki thie

Read:
Poetry Ghazal on Khulus e Dil Se Aari Han Yahan Insan Bohot


Thursday, 6 June 2013

Khamosh Sa Sheher - Latest Urdu Poetry on Khamoshi - Beautiful Collection

Khamosh Sa Sheher
Oor
Guftuguo Ki Arzu

Hum Kis Se Karin Baat
Koi Bolta Hi Nahie

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~


Tujh pe alfaaz nahin waaren gey!


Ab tujhy khamoshi sey maaren gey!

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~


Kitaabain Bhee Bilkul Meri Tarhan Hen!


Alfaaz Sey Bharpoor
Magar Khamosh....

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~

Haqeeqat Mei Yeh Khamoshi Hamesha Chup Nahin Hoti
Kabhi Tum Ghour Sey Sunna! Boht Qissay Sunati Hai!

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~

Muddaton Say 
Jism Ke Jhoolay Main
Dil Murdaa Bachhe Ki Tarhan
Khamosh Hay!!

Aor Zindagi??
Ik Baawli Maan Ki Tarhan
Jhoola Jhulaye Ja Rahi Hay
Qissay Sunaye Ja Rahi Hay
Pankha Hilaaye Ja Rahi Hay!!!

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~

Ab Ke Socha Hay Khamoshi Ko Bana LenGe
Andaaz e Bayaan Apna!

Na Lafz Dhoondna ParenGe
Na Guzrain Ge Nagawar Kisi Ko

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~

Sirf Teri Ruswaayon Ke Darr Se Khamosh Han Warna

Likhnay Pey Ajaayen To Qalam Say Sar Qalam Karden!!

~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~_~~


Read more sad urdu poetry at: www.poemsurdu.com

Sunday, 24 March 2013

Bujhee Bujhee Si Hy Kiun

nasir kazmi sad poetry













Bujhee Bujhee Si Hy Kiun
Is Chaand Ki Ziyaa Nasir!

Kahan Chali Hy Ye Kasa
Uthaye Shaam e Firaak!


Saturday, 23 March 2013

Meri Baatain Behki Behki - Jaise Ghalib Ka Deewan

Us Ki Baatain Sochi Samjhee
Jaisey Meer Kay Naazuk Shair

Meri Baatain Behki Behki
Jaise Ghalib Ka Deewan!


Sunday, 17 March 2013

Zara Kar Zorr Seene Par - Ke Teer e Pur Sitm Nikley

mirza ghalib poetry










Zara Kar Zorr Seene Par
Ke Teer e Pur Sitm Nikley
Jo Voh Nikley Tou Dil Nikley
Jo Dil Nikley Tou Dumm Nikley

Said by Ghalib

Monday, 4 March 2013

Khulus e Dil Say Hen Aari Yhan Insaan Bohot

Khulus e Dil Say Hen Aari Yhan Insaan Bohot,
Yhan Ihsaan Kay Badlay Main Hen Nuqsaan Bohot!

Nafa Bohot Hae Yhan Jhoot Ko Nibhanay Main,
Keh Such Kay Rastay Main Hen Yhan Reh'zaan Bohot!

Junoon Kay Jaal Main Hon Yaa Anaa Kay Pardon Main,
Shaoor e Zeest  Main Lekin Rhay Nadaan Bohot!

Yhan Ihsaas Nahin Hay Wafa Kay Jazbon Ka,
Meri To Jaan Kay Dhar Per Hen Meherbaan Bohot!

Chalo Firaaq e Mohabbat Main Jee Kay Daikh Len Humm,
Wafa Jafa Main Ulajh Kar Rhay Na'Kaam Bohot!

Shaitaan Ko Kah Kay Bura Uskay Kaam Aatay Hen,
Magar Khudaa Pay Bhee Rakhtay Hen Wo Imaan Bohot!

Posted in sad poetry

Saturday, 23 February 2013

Uss Main Mujhh Main Ehed Hua Thaa

Uss Main
Mujhh Main...
Ehed Hua Thaa!

Ek Doojay
Ko
Bhoolnay Ka!


Uss Nay
Qoul
Nibhaaya Puura!

Mai Emaan
Ka
Kachaa Niklaa!


Filed in sad urdu poetry

Wednesday, 30 January 2013

Pichle Baras Yeh Darr Tha!

Pichhlay Baras Yeh Darr Thaa!
Tujjhay Khho Na Doun Kaheen!

Abb Kay Baras Duaa Hay!
Teraa Saamna Naa Hou...!



Monday, 31 December 2012

December Ki Aakhri Shab!

December Ki Ye Aakhri Shab!
Meray Doston Ke Naam!

Meri Subb Duuaen!
Meray Doston Ke Naam!

Kuch Ko Mai Ne Manaya!
Kuch Ne Mujhe Manaya!

Hum Ne Diye Ilzaam!
Ik Doosray Ke Naam!

Kuch Waaday Kiye Poore!
Kuch Reh Gaye Adhoore!

Nibhayenge Her Rishta!
Ahed e Wafa Ke Naam!

Chalti Rahey Ye Dosti!
Ta'Dum e Ikhtetaam!

Mera Hay Ye Peghaam!
Meray Doston Ke Naam!

Bheja Hay Ye Peghaam!
Apne Doston Ke Naam!

December Ki Aakhri Shab!
Meray Doston Ke Naam!!


More in Urdu Poetry

Sunday, 30 December 2012

Abhi Kuch Lamhey Baki Hain!


Abhi Kuch Lamhey Baki Hain
Saal Ke Khatm Hone Mei...

Chalo Aesa Kren Hum Tum
Giley Shikwey Jo Rehte Hain...

Humesha Darmiyaan Apney
Kiyun Na Khatm Kr Dalen...

Naye Waade, Nayi Kasmen
Nayi Ummeed Hum Bandhen...

Naye Andaaz Se Jeewan
Ka Ik Ik Rukh Badal Dalen...

Dilon Mei Hain Kadorat Jo
Humm Us Ko Khatm Kr Dalen..

Abhi Kuch Waqt Baki Hai
Naya Phir SAAL Aane Mei


Advance Happy New Year 2013!

Saturday, 22 December 2012

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!


Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Tanha Saavan Bitaa Raha Hoon
Mai Saarey Armaan Jala Chuka Hoon
Jo Sholay Bharkey The Khwahisho Ke
Vo Aansu'on Sey Bujha Chuka Hoon!

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Chaak Daman Ko Si Raha Hoon
Bari Hi Mushkil Se Ji Raha Hoon
Diya Jo Nafrat Ka Zeher Us Ne
Samajh Ke Amrit Vo Pee Raha Hoon!

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Baghaer Us Ke Udaas Hoon Mai
Badalti Rutt Ka Qayyas Hoon Mai
Bujha Dey Apni Mohabbaton Sey
Sulagti Sadii'on Ki Pyaas Hoon Mai

Kaheen Miley To Ye Usse Kehna!
Ke Tanha Saavan Bitaa Raha Hoon!


More in sad urdu poetry

Friday, 21 December 2012

Yaar Ke Ajaane Ko Yakayak Umr Dubaraa Janey Hay


Pata Pata, Boota Boota, Haal Hamara Janey Hay
Janey Na Janey, Gul Hi Na Janey, Bagh To Sara Janey Hay

Aashiq Sa To Saada Koi Or Na Ho Ga Duniya Mei
Jee Ke Zian Ko Ishq Mei Uskey Apna Waara Janey Hay

Chara Gari Bemari-e-Dil Ki Rasm e Shehr e Hussn Nahi
Warna Dilber e Nadaan Bhi Iss Dard Ka Chaara Janey Hay

Meher-o-Wafa-o-Lutf-o-Inaayat, Eik Se Waqif In Mei Nahi
Or To Sab Kuch Tanz-o-Kinaya, Rams-o-Ishaara Janey Hay

Aashiq To Murda Hay Hamesha Uth'ta Hay Dekhe Se Usey
Yaar Ke Ajaane Ko Yakaayak, Umr Dubaraa Janey Hay

Tashna-e-Khoon Hay Apna Kitna, Mir Bhi Nadaan Talkhi Kash
Damdaar Aab-e-Tegh Ko Uskey, Aabe-e-Gawara Janey Hay


More in urdu ghazals

Sunday, 16 December 2012

Terey Etibar Ka Mousam


Rafaqaton Ke Naye Khwaab
Khush-Numa Han Lekin...

Guzar Chuka Hay Terey Etibar
Ka Mousam...!


More in urdu poetry

Saturday, 15 December 2012

Wednesday, 12 December 2012

Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hai Aaj


Fasal e Khiraad Hay Rang e Chaman Dekhtey Chalo
Phir Ehtamaam e Daar o Rasan Dekhtey Chalo...


Dilchasp Waqia Hay Ke Sehra Ki Dhoop Mein
Zarron Ka Jal Rha Hay Badan Dekhtey Chalo...


Tanqeed Mat Karo Keh Zamana Kharaab Hay
Chup Chaap Doston Ka Chalan Dekhtey Chalo...


Mohsin Shab e Siyaah Bhi Orhey Huay Hay Aaj
Shaffaf Chandni Ka Kafan Dekhtey Chalo...


More in Urdu Ghazals