Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
(Mirza Ghalib)
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
(Allama Iqbal)
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
(Ahmad Faraz)
Poetry blog includes Allama Iqbal's Poetry, Mohsin Naqvi's poetry and poetry of many other famous poets. Moreover it includes Hindi Shayari, Sad Urdu shayari, Sad man Walking Pictures & photos, sad pictures, nice quotes, funny sms, Eid Poems. more keywords are Ishq Shayari,judai shayari,love sms,Chahat Shayari,Yaad Shayari, Heart Touching Poetry, Tanhai shayari, barish shayari, raat shayari, dua shayari.udas poetry, bhool shayari,short shayari, bewafa shayari.
Showing posts with label Allama Iqbal Poetry. Show all posts
Showing posts with label Allama Iqbal Poetry. Show all posts
Sunday, 22 April 2012
Sunday, 19 February 2012
SHIKWA: and JAWAB-E-SHIKWA:
SHIKWA:
___________
Roz-e-Hashar men be-khof
ghuss jaon ga JANNAT me,
Wahin se aye they �AADAM� wo mere baap ka ghar hai!
_____________
JAWAB-E-SHIKWA:
_______________
In amaal k sath tu jannat ka talabgar hai kya�
Wahan se nikaaley gaye they AADAM to teri auqaat hai kya�!

Monday, 6 February 2012
" Wo To Aisa Tha K Ek Aansoo Girney Ki Bhi Waja Pucha Karta Tha "
Wo To Aisa Tha K Ek Aansoo Girney Ki Bhi Waja Pucha Karta Tha
Par Najany Kiun Ab Usey Barsat Ki Bhi Parwah Nahi
Tuesday, 31 January 2012
Dill Poem By Allama Iqbal
Qissa-a dar-o-rasan bazi-ye tiflana-a dil,
Iltija-a, arini, surkhi-ye afsanah-a dil,
YaRabb iis saghiray labrez ki mey kiya ho gi,
Jadah-a mulkay baqa hay khatay pemanah-a dil,
Abr-e-rehmat tha keh thi ishq ki bijli YaRabb!,
Jal ga-e mazra-a hasti tto oga dana-a dil,
Husn ka ganjay giran mayah tujhay mil jata,
Ttu nay farhad! nah khoda kabhi wiranah-a dil,
Arsh ka hay kabhi ka'bay ka hay dhoka iis par,
Kis ki manzil hay Ilahi! mira kashanah-a dil,
Iis ko apna hay junun oor mujhay soda apna,
Dil kisi oor ka diwanah, mein diwanah-a dil,
Ttu samajhta nahin ay zahiday nadan iis ko,
Rashkay sad sajdah hay ik laghzishay mastanah-a dil,
Khak kay dil ko aksir bana deti hay,
Woh asar rakhti hay khakastaray parwanah-a dil,
Ishq kay dam mein phans kar yeh riha hota hay,
Barq girti hay tto yeh nakhl hara hota hay.

Meri dua hai teri Aarzoo badle yaye....Iqbal Nice Poetry
Teri dua se kaza to badal nahi sakti,
Magar hai is se yeh mumkin ke tu badal jaye,
Teri dua hai ke ho teri Aarzoo poori,
Meri dua hai teri Aarzoo badle yaye....
Magar hai is se yeh mumkin ke tu badal jaye,
Teri dua hai ke ho teri Aarzoo poori,
Meri dua hai teri Aarzoo badle yaye....
Kia Tum Musalman Bhi Ho.....Iqbal Nice Shair
u tho syed bhi ho, Mirza bhi ho, Afghan bhi ho
.
.
.
.
.
Tum sabhi kuch ho batao kya musalman bhi ho....!
.
.
.
.
.
Tum sabhi kuch ho batao kya musalman bhi ho....!
Khudhi Ko ker bulund....Iqbal Poetry
Khudhi Ko ker bulund itna ke
Har taqdeer se phele
Khuda bande se puichay
"Bata teri raza kya hai....!
Har taqdeer se phele
Khuda bande se puichay
"Bata teri raza kya hai....!
Nahin Minnat-Kash-e-Taab-e-Shaniidan Daastaan Meri
Nahin minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan merii,
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan merii,
Ye dastuur-e-zabaan-bandii hai kaisii terii mahafil mein,
Yahaan to baat karne ko tarastii hai zabaan merii,
Uthaaye kuch varaq laalaa ne kuch nargis ne kuchh gul ne,
Chaman mein har taraf bikharii huyii hai daastaan merii,
Uraa lii qumariyon ne tootiyon ne andaliibon ne,
Chaman vaalon ne mil kar looT lii tarz-e-fugaan merii,
Tapak ai shama aansuu ban ke parvaane kii aankhon se,
Saraapaa dard hoon hasrat bharii hai daastaan merii,
Ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaan duniyaa mein rahne kaa,
hayaat-e-jaavidaan merii na marg-e-naagahaan merii....

Tere Hain ...... Nice Shair By Iqbal
Ki Muhammad say wafa too nay to hum teray hain,
.
.
.
.
.
Yeah jahan cheez hai kia loho qalam teray hain....!
.
.
.
.
.
Yeah jahan cheez hai kia loho qalam teray hain....!
Badalta hai hazaroon rang mera dard mehjori!
Kabhi Hairat Kabhi Masti Kabhi Ah Sehar Gahi
Badalta hai hazaroon rang mera dard mehjori!
Had Adrak say Bahar hain Batain Ishq-o-Masti ki
Samajh main iss qadar aya kay dil ki mot hai doori
Badalta hai hazaroon rang mera dard mehjori!
Had Adrak say Bahar hain Batain Ishq-o-Masti ki
Samajh main iss qadar aya kay dil ki mot hai doori
Ata Hai Yad Mujhko Guzara Hua Zamana
Aata hai yad mujhko guzara hua zamana
Woh bag ki baharen wo sab ka chah-chahana
Azadiyan kahan wo ab apne ghonsale ki
Apni khushi se ana apni khushi se jana
Lagti ho chot dil par, ata hai yad jis dam
Shabnam k anson par kaliyon ka muskurana
Woh pyari pyari surat, wo kamini si murat
Abad jis k dam se tha mera ashiyana

Ajab Waiz Ki Din-Dari Hai Ya Rab
Ajab waiz ki din-dari hai ya rab
Adawat hai ise sare jahan se
Koi ab tak na ye samjha k insan
Kahan jata hai ata hai kahan se
Wahin se rat ko zulmat mili hai
Chamak taron ne pai hai jahan se
Ham apni dard-mandi ka fasana
Suna karte hain apne razdan se
Bari barik hain waiz ki chalen
Laraz jata hai awaz-e-azan se
Adawat hai ise sare jahan se
Koi ab tak na ye samjha k insan
Kahan jata hai ata hai kahan se
Wahin se rat ko zulmat mili hai
Chamak taron ne pai hai jahan se
Ham apni dard-mandi ka fasana
Suna karte hain apne razdan se
Bari barik hain waiz ki chalen
Laraz jata hai awaz-e-azan se
Majnoon nay shehar chor, tu Sehara bhi chor day
Majnoon nay sheher chora, tu Sehraa bhi chor day
Nizaray ki hawiis ho tu Laila bhi chor day
Wa'az! kamal-e-tarq se milti hai yaan muraad
Duniya jo chor dii hai to uqbaa bhi chor day
Taqleed ki rawish se tu behtar hai Khud-Kushi
Rasta bhi dhoond, Hiz'r ka soda bhi chor day
Mannand-e-Khama Teri zuban per hai harf-e-gair
Begana Shay pe Nazish-e-Bejaa bhi chor day
Lutaf-e-Qalaam kya je naa ho dil mein DARD-e-ISHQ
Bismil nahe hai tu to Tarapna bhi chor day
Shabnam ki tarah pholoon pe ro, aur chaman se Chal
Iss Baagh mein Qyaam ka soda bhi chor day
Acha hai dil kay pass rahay pasbanay Aqal
Lakin kabhi kabhi issay tanha bhi chor day
Hai Ashiquee mein rasam alag sab se bethna
Buut-Khana bhi, Haram bhi, Kaleesa bhi chor day

Utho Meri Dunya K Garibon Ko Jaga Do
Utho meri dunya k garibon ko jaga do
Khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
Garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do

Sitaron Se Age Jahan Aur Bhi Hain
Sitaron se age jahan aur bhi hain
Abhi ishq k imtihan aur bhi hain
Tabhi zindagi se nahin ye fazayen
Yahan saikaron karawan aur bhi hain
Kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaz hai kam tera
Tere samne asman aur bhi hain
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
K tere zamin-o-makan aur bhi hain
Gae din k tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere razadan aur bhi hain
Abhi ishq k imtihan aur bhi hain
Tabhi zindagi se nahin ye fazayen
Yahan saikaron karawan aur bhi hain
Kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
Chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain
Agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain
Tu shahin hai parwaz hai kam tera
Tere samne asman aur bhi hain
Isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
K tere zamin-o-makan aur bhi hain
Gae din k tanha tha main anjuman mein
Yahan ab mere razadan aur bhi hain
Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon
Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon
Bebaki-O-Haq Goi Se Ghabrata Hai Momin,
Makkari-O-Farebi Pe Itrata Hai Momin,
Jis Rizq Se Parwaz Mein Kotahi Ka Darr Ho,
Wo Rizq Ab Barray Shoq Se Khata Hai Momin,
Kirdar Ka, Guftar Ka, Aamaal Ka Momin,
Qail Nahi Aisay Kisi Janjal Ka Momin,
Sarhad Ka Momin Hai Tou Koi Punjab Ka Momin,
Dhonde Se Bhi Milta Nahi, Quran Ka Momin,
Iqbal Terey Dais Ka Kia Haal Sunaon!
Subscribe to:
Posts (Atom)